gulshan-e-ishq mein ghuncha bhi kali hota hai 
nam aashiq ka bhi mashuq-ali hota hai 
KHan kahta hai wahan mun-gphali hota hai 
phul hoti hai pishawar mein kali hota hai 
jab wo paDhti hai tarannum se ghazal ka matla 
us ki aankhon mein bhi ita-e-jali hota hai 
ek biwi pe jo karta hai qanaat ta-umr 
wo to shauhar nahin hota hai wali hota hai 
sas ne aaj khilai hai jalebi mujh ko 
nim ka peD bhi misri ki Dali hota hai 
marshall-law ka main hami to nahin hun lekin 
daur-e-jamhur bhi ab band gali hota hai 
jis ke lahje mein ho shaistagi-e-tanz-e-latif 
aisa shaer hi zarif-e-azali hota hai
        Ghazal
Gulshan-e-ishq mein ghuncha bhi kali hota hai
Khalid Irfan

