gulon pe saya-e-gham-ha-e-rozgar mile
bhari bahaar ke chehre bhi sogwar mile
saja de un ke gareban ko mah o anjum se
hamare dast-e-junun ko jo iKHtiyar mile
hazar dagh uTha kar chaman khilati hai
kahin zamin ko jo ahl-e-zamin ka pyar mile
hamare pas hai kya daulat-e-junun ke siwa
nisar chaak gareban agar bahaar mile
ye waqia hai ki naseh ki zid mein baat baDhi
jo ek bar na milte wo bar-bar mile
mizha ke ashk tamanna ke zaKHm yaad ke phul
kai charagh sar-e-sham-e-intizar mile
sahar se dair o haram par jo bahas karte hain
wo mai-kade mein sar-e-sham ham-kanar mile
hum apne chehra-e-fan ka nikhaar kya dekhen
ki aaine bhi to aaluda-e-ghubar mile
sunin to aabla-pai ki dastan lekin
kahan 'shamim' sa aashufta-e-bahaar mile
Ghazal
Gulon pe saya-e-gham-ha-e-rozgar mile
Shamim Karhani