gulon ko sahn-e-chaman mein qarar kya hoga
KHizan ke daur mein shukr-e-bahaar kya hoga
ye shab ummid-e-sahar mein guzar di lekin
sahar se ta-ba-shab intizar kya hoga
hawa-e-dasht jo diwana-war guzri hai
na jaane aaj lab-e-juebar kya hoga
jise alam bhi mohabbat mein ras aa na saka
kisi KHushi ka use eatibar kya hoga
baja nasihat-e-tark-e-sharab bhi naseh
ilaj-e-amad-e-abr-e-bahaar kya hoga
shikar-e-kakul-o-ruKH ho chuka dil-e-'maikash'
shikar-e-gardish-e-lail-o-nahaar kya hoga

Ghazal
Gulon ko sahn-e-chaman mein qarar kya hoga
Masood Maikash Muradabadi