اردو हिंदी
Gulon ke sath ajal ke payam bhi aae | Shaahi Shayari
gulon ke sath ajal ke payam bhi aae

Ghazal

Gulon ke sath ajal ke payam bhi aae

Taban Ghulam Rabbani

;

gulon ke sath ajal ke payam bhi aae
bahaar aai to gulshan mein dam bhi aae

hamin na kar sake tajdid-e-arzu warna
hazar bar kisi ke payam bhi aae

chala na kaam agarche ba-zom-e-rahbari
janab-e-KHizr alaihis-salam bhi aae

jo tishna-e-kaam-e-azal the wo tishna-kaam rahe
hazar daur mein mina o jam bhi aae

baDe baDon ke qadam Dagmaga gae 'taban'
rah-e-hayat mein aise maqam bhi aae