اردو हिंदी
Ghulam ki rose o shab ghulami mein kya kami thi | Shaahi Shayari
ghulam ki rose o shab ghulami mein kya kami thi

Ghazal

Ghulam ki rose o shab ghulami mein kya kami thi

Khalid Iqbal Yasir

;

ghulam ki rose o shab ghulami mein kya kami thi
kaniz ke iltifat o KHubi mein kya kami thi

inhen dar-e-KHwab-gah se kis liye haTaya
muhafizon ki wafa-shiari mein kya kami thi

jalal-e-giti satan se darbar kanpta tha
muqarribon ki mizaj-fahmi mein kya kami thi

giran guzarta tha kyun tabiat pe sath us ka
wazir-zade ki nukta-sanji mein kya kami thi

nashist mein is qadar tammul ba-waqt-e-ruKHsat
murassa o mustaid sawari mein kya kami thi

khaDe the kyun chaukidar do-ruya neze thame
mahl ki diwar ki bulandi mein kya kami thi

guzar na sakta tha koi KHwaja-sara na bandi
haram ke raazon ki pasdari mein kya kami thi

na jaane salar mutmain kyun nahin the 'yasir'
sipah ke azm o jaan-sipari mein kya kami thi