gul tera rang chura lae hain gulzaron mein
jal raha hun bhari barsat ki bauchhaaron mein
mujh se katra ke nikal ja magar ai jaan-e-haya
dil ki lau dekh raha hun tere ruKHsaron mein
husn-e-be-gana-e-ehsas-e-jamal achchha hai
ghunche khilte hain to bik jate hain bazaron mein
zikr karte hain tera mujh se ba-unwan-e-jafa
chaara-gar par piro lae hain talwaron mein
zaKHm chhup sakte hain lekin mujhe fan ki saugand
gham ki daulat bhi hai shamil mere shahkaron mein
muntazir hain ki koi tesha-e-taKHliq uThae
kitne asnam abhi dafan hain kohsaron mein
mujh ko nafrat se nahin pyar se maslub karo
main to shamil hun mohabbat ke gunahgaron mein
Ghazal
Gul tera rang chura lae hain gulzaron mein
Ahmad Nadeem Qasmi