gul ko KHushbu chand ko uslub-e-tabani mile
mere jazbe se jahan ko husn-e-lafani mile
ujli ujli si faza mein rang bikhre pyar ka
husn-karon ko mera ehsas-e-tabani mile
dew-qamat paikaron se dil mera ghabra gaya
ab to yarab aam si ek shakl-e-insani mile
is hujum-e-ranj-o-gham mein ek zara sa zahr bhi
zindagi ko is tarah se shayad aasani mile
allah allah zindagi mein inkisari ka ye rup
ahl-e-naKHwat ko bhi hum ba-KHanda peshani mile
waqt ke katbe pe 'shakir' nam ho kanda tera
ahl-e-duniya ko koi tahrir lafani mile

Ghazal
Gul ko KHushbu chand ko uslub-e-tabani mile
Qayoom Shakri