gudaz-e-dil se mila sozish-e-jigar se mila
jo qahqahon mein ganwaya tha chashm-e-tar se mila
talluqat ke ai dil hazar pahlu hain
na jaane mujh se wo kis nuqta-e-nazar se mila
kabhi thakan ka kabhi faslon ka rona hai
safar ka hausla mujh ko na ham-safar se mila
main dusron ke liye be-qarar phirta hun
ajib dard mujhe mere chaara-gar se mila
har inqalab ki tariKH ye batati hai
wo manzilon pe na paya jo rahguzar se mila
na main ne soz hi paya na istaqamat hi
hajar hajar ko TaTola shajar shajar se mila
'hafiz' ho gaya aaKHir ajal se ham-aghosh
tamam shab ka sataya hua sahar se mila
Ghazal
Gudaz-e-dil se mila sozish-e-jigar se mila
Hafeez Merathi