اردو हिंदी
Gudaz-e-atish-e-gham sin hui hain bawli ankhiyan | Shaahi Shayari
gudaz-e-atish-e-gham sin hui hain bawli ankhiyan

Ghazal

Gudaz-e-atish-e-gham sin hui hain bawli ankhiyan

Abdul Wahab yakro

;

gudaz-e-atish-e-gham sin hui hain bawli ankhiyan
anjhu ke bhant pani ho ke maTi mein ruli ankhiyan

karengi qatl dil kun aaj tegh-e-abruwan-seti
nipaT KHunin hain zalim hum nin teri aTkali ankhiyan

pae-daf-e-gazand-e-zul-fiqar abru tere mukh par
mizha kun kar zaban karti hain dam nad-e-ali ankhiyan

agar dekhen bahaar-e-husn khil gul ke naman phulen
rahin hain mund jaddai ye KHizan sin jun kali ankhiyan

nahin darkar kuchh ai KHush-nigah surme ka dumbaala
mera dil qatl karne kun yu bas hain aTkali ankhiyan

gaya hai mah-ru jab sin juda ho aab-e-haiwan jun
jase mahi juda jal sin tapin yun tilmili ankhiyan

na howe dard-e-sar 'yakru' kun paida garmi-e-gham sun
agar dekhen piya ke mukh ka rang-e-sandali ankhiyan