ghubar uDta raha karwan ruka hi nahin
wo kho gaya to mujhe phir kabhi mila hi nahin
gawah hain mere ghar ke ye baam-o-dar sare
ki tere baad yahan dusra raha hi nahin
na koi dar na daricha na rauzan-o-diwar
kahan se aae hawa koi rasta hi nahin
hazar rang bhare lakh KHal-o-KHad khinche
sarapa tera mukammal kabhi hua hi nahin
tamam raat ye aankhen talash karti rahin
mera sitara magar aasman pe tha hi nahin
main kya karun ye teri sabz wadiyan le kar
yahan wo phul jise dil kahin khila hi nahin
'ziya' main KHud ko ye samjha raha hun barson se
ki ye jahan tere waste bana hi nahin
Ghazal
Ghubar uDta raha karwan ruka hi nahin
Zia Faruqi