اردو हिंदी
Ghubar-e-nur hai ya kahkashan hai ya kuchh aur | Shaahi Shayari
ghubar-e-nur hai ya kahkashan hai ya kuchh aur

Ghazal

Ghubar-e-nur hai ya kahkashan hai ya kuchh aur

Ali Akbar Abbas

;

ghubar-e-nur hai ya kahkashan hai ya kuchh aur
ye mere chaaron taraf aasman hai ya kuchh aur

jo dekha arsh-e-tasawwur se barha socha
ye kaenat bhi aks-e-rawan hai ya kuchh aur

main khoe jata hun tanhaiyon ki wusat mein
dar-e-KHayal dar-e-la-makan hai ya kuchh aur

firaq-e-umr ki had kyun lagai hai us ne
mera wajud hi us ko giran hai ya kuchh aur

azal se ta-ba-abad jast ek saat ki
yahi bas arsa-e-kar-e-jahan hai ya kuchh aur