ghubar-e-fikr ko tahrir karta rahta hun
main apna dard hama-gir karta rahta hun
rida-e-lafz chaDhata hun turbat-e-dil par
ghazal ko KHak-e-dar-e-'mir' karta rahta hun
nabard-azma ho kar hayat se apni
hamesha fath ki tadbir karta rahta hun
na jaane kaun sa KHaka kalam-e-fan Thahre
har ek KHayal ko taswir karta rahta hun
badalta rahta hun girte hue dar-o-diwar
makan-e-KHasta mein tamir karta rahta hun
lahu ragon ka masafat nichoD leti hai
main phir bhi KHud ko safar-gir karta rahta hun
udas rahti hain mujh mein sadaqaten meri
main lab-kushai mein taKHir karta rahta hun
sadaen deti hain 'salim' bulandiyan lekin
zamin ko panw ki zanjir karta rahta hun
Ghazal
Ghubar-e-fikr ko tahrir karta rahta hun
Salim Shuja Ansari