ghubar-e-dard mein rah-e-najat aisa hi
raha hai koi mere sath sath aisa hi
to bhul pane mein dushwariyan bahut hongi
kiya hai pyar had-e-mumkinat aisa hi
baras guzar gae us se juda hue lekin
ajib bain hai mauj-e-furaat aisa hi
use bhi os mein Duba hua laga tha badan
mujhe bhi kuchh hua mahsus raat aisa hi
main jis se KHauf-zada tha shurua se aaKHir
tamasha kar gai ye kaenat aisa hi
koi bhi rang mayassar na aa saka to phir
qubul kar liya rang-e-hayat aisa hi
Ghazal
Ghubar-e-dard mein rah-e-najat aisa hi
Shahram Sarmadi