go zabanen lakh hon dil ki sada to ek hai
jitne hon andaz lekin muddaa to ek hai
kuchh mahazon par bahaen kuchh bahaen khet mein
muKHtalif ja par sahi KHun-e-wafa to ek hai
har taraf se imtihan-gah-e-wafa mein jaunga
qissa-e-dar-o-rasan ka marhala to ek hai
dar ho maqtal ho ya ho tur ka jalwa kahin
jazba-e-zauq-e-mohabbat ka sila to ek hai
main samajhta hun ye duniya hai hasinon se bhari
kya karun zauq-e-nazar ka muddaa to ek hai
aah nale dard-o-gham aKHtar-shumari raat ki
ai masih-e-waqt in sab ki dawa to ek hai
dur hon chaara-garan-e-waqt bas ab dur hon
'asr' ki taklif ka dard-ashna to ek hai

Ghazal
Go zabanen lakh hon dil ki sada to ek hai
Mohammad Naqi Rizvi Asr