giran guzarne laga daur-e-intizar mujhe
zara thapak ke sula de KHayal-e-yar mujhe
na aaya gham bhi mohabbat mein sazgar mujhe
wo KHud taDap gae dekha jo be-qarar mujhe
nigah-e-sharmagin chupke se le uDi mujh ko
pukarta hi raha koi bar bar mujhe
nigah-e-mast ye meyar-e-be-KHudi kya hai
zamane wale samajhte hain hoshiyar mujhe
baja hai tark-e-talluq ka mashwara lekin
na iKHtiyar unhen hai na iKHtiyar mujhe
bahaar aur ba-qaid-e-KHizan hai nang mujhe
agar mile to mile mustaqil bahaar mujhe
Ghazal
Giran guzarne laga daur-e-intizar mujhe
Asad Bhopali