ghar sulagta sa hai aur jalta hua sa shahr hai
zindagani ke liye ab do-jahan ka qahr hai
jao lekin surKH shoalon ke siwa paoge kya
sansanate dasht mein kali hawa ka qahr hai
dil ye kya jaane ki kya shai hai hararat KHun ki
jism kya samjhe ki kaisi zindagi ki lahr hai
ai mohabbat main teri betabiyon ko kya karun
baDh ke chashm-e-yar se barham mizaj-e-dahr hai
bhar raha hun kis sharab-e-dard se jam-e-ghazal
ruh mein kuchle hue jazbaat ki ek nahr hai
zindagi se bhag kar 'parkash' main jaun kahan
ghar ke bahar qahr hai aur ghar ke andar zahr hai

Ghazal
Ghar sulagta sa hai aur jalta hua sa shahr hai
Parkash Tiwari