اردو हिंदी
Ghar se nikal bhi aaen magar yar bhi to ho | Shaahi Shayari
ghar se nikal bhi aaen magar yar bhi to ho

Ghazal

Ghar se nikal bhi aaen magar yar bhi to ho

Mohsin Jalganvi

;

ghar se nikal bhi aaen magar yar bhi to ho
ji ko lage kahin koi kirdar bhi to ho

ye kya ki barg-e-zard sa TuTe bikhar gae
aandhi chale hawaon ki yalghaar bhi to ho

sar ko abas hai sang-e-tawatur ka samna
sahn-e-makan mein shaKH-e-samar-bar bhi to ho

anmol hum guhar hain magar tere waste
bik jaen koi aisa KHaridar bhi to ho

kaghaz ki kashtiyon mein samundar lapeT len
pahlu mein tere qurb ki patwar bhi to ho

sab ko usi ke lahje ki tauqir chahiye
'mohsin' kisi ko mir sa aazar bhi to ho