اردو हिंदी
Ghar se jo shaKHs bhi nikle wo sambhal kar nikle | Shaahi Shayari
ghar se jo shaKHs bhi nikle wo sambhal kar nikle

Ghazal

Ghar se jo shaKHs bhi nikle wo sambhal kar nikle

Masooda Hayat

;

ghar se jo shaKHs bhi nikle wo sambhal kar nikle
jaane kis moD pe kis hath mein KHanjar nikle

moajaza ban gai kya aaj meri tishna-labi
ek qatre ke tale kitne samundar nikle

gir gaya ho jo fasilon ko uTha kar KHud hi
kaise ab apne hisaron se wo bahar nikle

rahbaro tum ne to manzil ka pata bhi na diya
tum se behtar to meri rah ke patthar nikle

umr bhar zehn mein chubhta raha ek nashtar-e-gham
jitne ehsas the sab mera muqaddar nikle

tum se chhoDi na gai rah-e-wafa phir bhi 'hayat'
kitne be-dard mile kitne sitamgar nikle