ghar mein rahte hue ghairon ki tarah hoti hain
laDkiyan dhan ke paudon ki tarah hoti hain
uD ke ek rose bahut dur chali jati hain
ghar ki shaKHon pe ye chiDiyon ki tarah hoti hain
sahmi sahmi hui rahti hain makan-e-dil mein
aarzuen bhi gharibon ki tarah hoti hain
TuT kar ye bhi bikhar jati hain ek lamhe mein
kuchh umiden bhi gharondon ki tarah hoti hain
aap ko dekh ke jis waqt palaTti hai nazar
meri aankhen meri aankhon ki tarah hoti hain
Ghazal
Ghar mein rahte hue ghairon ki tarah hoti hain
Munawwar Rana