ghar ko yun toDo ki phir hasrat-e-tamir na ho
koi taqdir na ho aur koi tadbir na ho
aise mar jaen koi naqsh na chhoDen apna
yaad dil mein na ho aKHbar mein taswir na ho
baiThe baiThe yunhi andhiyare mein zail ho jaen
koi dam-saz na ho koi KHabar-gir na ho
nind mein titliyan aankhon mein lahakti jaen
KHwab dekhen magar us KHwab ki tabir na ho
kaun santa hai mere sher yahan ab 'mamun'
ain-mumkin hai meri baat mein tasir na ho
Ghazal
Ghar ko yun toDo ki phir hasrat-e-tamir na ho
Khaleel Mamoon