ghaDi ghaDi use roko ghaDi ghaDi samjhao
magar ye dil hai ki kuchh dekhta hai aao na tao
ab us ke dard ko dil mein liye taDapte ho
kaha tha kis ne ki us KHush-nazar se aankh milao
ajab tarah ke jhamele hain ishq mein sahab
barat sako to ho malum aaTe dal ka bhaw
chalo wo agla sa josh-o-KHarosh to na raha
magar ye kya ki milo aur hath bhi na milao
nazar hai shart haqiqat ko dekhne ke liye
ki har bigaD mein hote hain sau tarah ke banaw
hamare haal ka kya hai sudhar hi jaega
magar ye baat ki tum apni uljhi laT suljhao
hamari umr bhi guzri hai is KHarabe mein
kahan ke hote hain ye log ahl-e-ishq haTao
kabhi khilo bhi ye kya hai ki 'aftab-husain'
paDe raho yunhi ghar par kisi ke aao na jao
Ghazal
GhaDi ghaDi use roko ghaDi ghaDi samjhao
Aftab Hussain