اردو हिंदी
Gazak ki is qadar ai mast tujhko kya shitabi hai | Shaahi Shayari
gazak ki is qadar ai mast tujhko kya shitabi hai

Ghazal

Gazak ki is qadar ai mast tujhko kya shitabi hai

Shaikh Zahuruddin Hatim

;

gazak ki is qadar ai mast tujh ko kya shitabi hai
hamara bhi dil sad-laKHt-e-dukan-e-kababi hai

nahin juz qurs mahr-o-mah kuchh gardun ke matbaKH mein
so wo bhi ek nan-e-soKHta aur ek aabi hai

chhuDa mashshata zulf-e-yar ko shane ke niche se
ki us ki kashmakash se dil ko mere pech-o-tabi hai

badan par kuchh mere zahir nahin aur dil mein sozish hai
KHuda jaane ye kis ne rakh andar aag dabi hai

shikast aati hai is mein mauj-e-mai se dekhiyo saqi
bachana Thes se shisha mere dil ka hababi hai

rahe hai kaam hum ko roz-o-shab quran o masjid se
ki abru us ki hai mehrab aur chehra kitabi hai

kisu ke ablaq-e-ayyam chaDhne ka nahin raazi
azal se 'hatim' is tausan mein aib-e-bad-rikabi hai