ghazab ke taish mein wo shoKH-dida aaya tha
ba-shakl-e-qahr tha KHanjar-kashida aaya tha
suluk-e-husn-e-talluq bane ye hangama
ki har taraf se burida ramida aaya tha
kiya tha shauq ne betab dida ne muztar
wo zauq-e-lutf ka lazzat-chashida aaya tha
wafa-misal sarapa niyaz ba-tamkin
faqir pa-e-ba-daman-kashida aaya tha
hua na qurb-e-talluq ka iKHtisas yahan
ye ru-shanas zi-ra-e-baida aaya tha
diya na saqi-e-rana ne jam-e-kaif-e-murad
sala-e-am ka shohra shunida aaya tha
Ghazal
Ghazab ke taish mein wo shoKH-dida aaya tha
Pandit Jawahar Nath Saqi