gaya wo KHwab-e-haqiqat ko ru-ba-ru kar ke
bahut udas hun main un se guftugu kar ke
abhi na chhoD qaba-e-umid ka daman
abhi to zaKHm chhupa chaak-e-dil rafu kar ke
karo na dafn ki maqtal ka nam uncha ho
liTa do KHak pe lashe ko qibla-ru kar ke
unhin mein mah-sifat bhi hain mehr-asa bhi
mile hain dagh kai un ki aarzu kar ke
uTho 'naim' ki bagh-e-adam se ho aaen
wahin gae hain 'tapish' dil ko yun lahu kar ke
Ghazal
Gaya wo KHwab-e-haqiqat ko ru-ba-ru kar ke
Hasan Nayeem