gawahi kaise TuTti muamla KHuda ka tha
mera aur us ka rabta to hath aur dua ka tha
gulab qimat-e-shaguft sham tak chuka sake
ada wo dhup ko hua jo qarz bhi saba ka tha
bikhar gaya hai phul to hamin se puchh-gachh hui
hisab baghban se hai kiya-dhara hawa ka tha
lahu-chashida hath us ne chum kar dikha diya
jaza wahan mili jahan ki marhala saza ka tha
jo barishon se qabl apna rizq ghar mein bhar chuka
wo shahr-e-mor se na tha pa durbin bala ka tha
Ghazal
Gawahi kaise TuTti muamla KHuda ka tha
Parveen Shakir