ghaur se mujh ko dekhta hai kya
mere chehre pe kuchh likha hai kya
meri aankhon mein jhankta hai kya
tujh ko in mein hi Dubna hai kya
mere honTon ko chhu liya us ne
kya bataun mujhe hua hai kya
ai kabutar zara bata mujh ko
un ki chhat par bhi baiThta hai kya
par kaTe panchhiyon se puchhte ho
tum mein uDne ka hausla hai kya
fasle ishq mein hi hote hain
tujh ko ye bhi nahin pata hai kya
meri duniya mein bas tu hi tu hai
ab bata tera faisla hai kya
pyar se mang li hai jaan us ne
mere hisse mein ab bacha hai kya
chal kahin dur chalte hain 'nadim'
ghar ko jaane mein bhi rakha hai kya
Ghazal
Ghaur se mujhko dekhta hai kya
Nadim Nadeem