ghaur karo to chehra chehra oDhe gahre gahre rang
jag-album mein bhare paDe hain andhe gunge bahre rang
kal shab is dharti par main tha ya phir chand sitare the
ek manzar tha tanha main aur chaaron or sunahre rang
teri yaad bhi dhul jaegi is mausam ki barish mein
barkha-rut mein diwaron par aaKHir kab tak Thahre rang
wahshi kirnen phul badan se mahak churane aati hain
jab tak phul ke dam mein dam hai tanha dega pahre rang
pura chand aur hara samundar lahron ka wo raqs hua
mauj mauj nashshe mein 'rashid' lahr lahr mein lahre rang

Ghazal
Ghaur karo to chehra chehra oDhe gahre gahre rang
Rashid Mateen