اردو हिंदी
Ghash bhi aaya meri pursish ko qaza bhi aai | Shaahi Shayari
ghash bhi aaya meri pursish ko qaza bhi aai

Ghazal

Ghash bhi aaya meri pursish ko qaza bhi aai

Saqib Lakhnavi

;

ghash bhi aaya meri pursish ko qaza bhi aai
be-murawwat tujhe kuchh sharm o haya bhi aai

mausam-e-husn to tha fasl-e-jafa bhi aai
sath hi sath jawani ki ada bhi aai

dam ka aankhon mein aTakna bhi mubarak na hua
waqt ki baat tum aae to qaza bhi aai

main shab-e-wasl ye samjha ki sahar bhi kuchh hai
wo jo aae to moazzin ki sada bhi aai

un marizon ki ayaadat ko wo ab nikle hain
maut ja kar jinhen miTTi mein mila bhi aai

kar diya soz-e-darun ne mujhe shama sar-e-bazm
ban gai dam pe agar pas hawa bhi aai

kan yun un ke bhare hain meri fariyaadon ne
nale samjhe jo koi aur sada bhi aai

phir bhi 'saqib' na uDi tala-e-KHufta ki nind
aah ja kar meri gardun ko hila bhi aai