garmi-e-pahlu-e-dildar ne sone na diya
mujh ko rangini-e-afkar ne sone na diya
yunhi takta raha taron ko sahar hone tak
raat bhar dida-e-bedar ne sone na diya
raat bhar lazzat-e-qurbat se raha mahw-e-kalam
raat bhar mujh ko mere yar ne sone na diya
raat bhar jaga kiye palken na jhapkin hum ne
raat bhar ishq ke aazar ne sone na diya
raat bhar dil ke dhaDakne ki sada aati rahi
raat bhar saya-e-diwar ne sone na diya
raat bhar yaad-e-guzishta ne sataya mujh ko
raat bhar chashm-e-guhar-bar ne sone na diya
raat bhar khul na saka mujh pe kisi taur 'nadim'
raat bhar husn-e-pur-asrar ne sone na diya
Ghazal
Garmi-e-pahlu-e-dildar ne sone na diya
Shahbaz Nadeem Ziai