garm zamin par aa baiThe hain KHushk lab-e-mahrum liye 
pani ki ek bund na pai baadal baadal ghum liye 
saj rahe honge nazuk paude chal rahi hogi narm hawa 
tanha ghar mein baiThe baiThe soch liya aur jhum liye 
aangan ki manus faza mein KHwabon ne zanjir buni 
baad mein jhuk kar apne sae diwaron ne chum liye 
main ne kitne raste badle lekin har raste mein 'farogh' 
ek andhera sath raha hai raushniyon ke hujum liye
        Ghazal
Garm zamin par aa baiThe hain KHushk lab-e-mahrum liye
Rais Farogh

