gardish mein zahr bhi hai musalsal lahu ke sath
marta bhi ja raha hun main apni numu ke sath
jin mausamon mein teri rifaqat thi na-guzir
tu ne ruten banai hain wo bhi adu ke sath
mujh ko ata hua hai ye kaisa libas-e-zist
baDhte hain jis ke chaak barabar rafu ke sath
mujh ko wahi mila mujhe jis ki talab na thi
mashrut kuchh nahin hai yahan aarzu ke sath
ab jam-e-jam se log yahan mutmain nahin
'jazib' guzar rahi hai shikasta subu ke sath

Ghazal
Gardish mein zahr bhi hai musalsal lahu ke sath
Shakeel Jazib