gardish-e-jam bhi hai raqs bhi hai saz bhi hai
jis mein naghmon ka talatum hai wo aawaz bhi hai
itna sada bhi use ai dil-e-pur-shauq na jaan
iltifat ek nigah-e-ghalat-andaz bhi hai
muddaa un ka samajh mein nahin aata ai dil
be-sabab hai ye taghaful ki koi raaz bhi hai
gharq-e-kaifiyat-e-ahang-e-tarab sun to sahi
zindagi dard mein Dubi hui aawaz bhi hai
toD Dalenge qafas aaj asiran-e-qafas
azm-e-parwaz bhi hai quwwat-e-parwaz bhi hai
meri aankhon se Dhalakte hue har ashk mein aaj
aks-e-anjam bhi hai surat-e-aghaz bhi hai
kaun jaane ye mere dil ke siwa ai 'muztar'
us ki ek jumbish-e-lab silsila-e-raaz bhi hai
Ghazal
Gardish-e-jam bhi hai raqs bhi hai saz bhi hai
Ram Krishn Muztar