اردو हिंदी
Gard mein aT rahe hain ehsasat | Shaahi Shayari
gard mein aT rahe hain ehsasat

Ghazal

Gard mein aT rahe hain ehsasat

Rais Amrohvi

;

gard mein aT rahe hain ehsasat
dhime dhime baras rahi hai raat

jal uTha ek charagh-e-sham to kya
bujh gae be-shumar imkanat

hae mazi ki dil-nashin yaaden
hae KHunKHar bheDiyon ki baraat

chyunTiyan jaise zehan par rengen
uf ye mere latif ehsasat

bhut ban kar mujhe Daraati rahin
meri na-afrida taKHliqat

kaun aaya mere taaqub mein
wahi fikr-o-KHayal ke jinnat

dafatan kis ne qahqaha mara
ye andhere mein kaun hai mere sat

sarsar-e-shab kahan ki patton mein
karb-e-gham se karahti hai hayat

mujh se mujh ko na chhin kar le jae
shahzadi-e-kishwar-e-zulmat

subh jaga to yaad bhi na raha
raat thi chandni ki chandni raat

tuda-e-reg o naKHl-e-KHushk-e-chinar
chhup gai kis ki oT mein barsat

ye daraKHt-e-kuhan lisan-ul-ghaib
aur ye shaKH-e-KHushk barg-e-nabaat

kya yahi hai 'rais'-amrohwi
uD ke aae hain dur se zarraat