اردو हिंदी
Gard-baad-e-sharar hain hum log | Shaahi Shayari
gard-baad-e-sharar hain hum log

Ghazal

Gard-baad-e-sharar hain hum log

Amir Hamza Saqib

;

gard-baad-e-sharar hain hum log
kis ke ji ka ghubar hain hum log

aa ki hasil ho naz-e-izz-o-sharaf
aa teri rahguzar hain hum log

be-kajawa hai naqa-e-duniya
aur zaKHmi sawar hain hum log

jabr ke bab mein farozan hain
hasil-e-iKHtiyar hain hum log

phir badan mein thakan ki gard liye
phir lab-e-ju-e-bar hain hum log

baad-e-sarsar kabhi to baad-e-sumum
mauja-e-KHaksar hain hum log

chashm-e-nargis magar alil bhi hai
kis liye be-kanar hain hum log