garche baadal pani barsata hua ghar ghar phira
phir bhi barish ki dua karta raha ek sar-phira
ek ummi ko mili apne hi dil mein kaenat
aur main aalim talash-e-zat mein dar dar phira
hum zamane se phire ye to baja hai sahibo
us ko to lao jo hum se aashna ho kar phira
us ki KHush-fahmi ne kal bas mar hi Dala hamein
tujh ko dekha aur darwaze se chaara-gar phira
aab wo aai jo chehre par adu ke baad-e-wasl
aur pani wo jo meri aarzuon par phira

Ghazal
Garche baadal pani barsata hua ghar ghar phira
Shuja Khaavar