gharaz rahbar se kya mujh ko gila hai jazb-e-kaamil se
ki jitna baDh raha hun haT raha hun dur manzil se
sukut-e-be-mahal taqrir-e-be-mauqa ki tohmat kyun
uThana ho to yun hum ko uTha do apni mahfil se
ye arman-e-taraqqi aaj hai dawa KHudai ka
usi dil ka jo kal tak tha lahu ki bund mushkil se
gul-o-lala pe aaKHir kar raha hai ghaur kya gulchin
ye wo KHun hai jo Tapka tha kabhi chashm-e-anadil se
shab-e-mahtab dariya ka kinara aur ye sannaTa
tumhein is saz par hum KHush karenge naghma-e-dil se
ghazab hai jal ke parwanon ka un ki bazm mein kahna
'rawan' ya yun fida ho jao ya uTh jao mahfil se
Ghazal
Gharaz rahbar se kya mujhko gila hai jazb-e-kaamil se
Jagat Mohan Lal Ravan