اردو हिंदी
Gar yahi waza hai aur hain yahi haihat nasib | Shaahi Shayari
gar yahi waza hai aur hain yahi haihat nasib

Ghazal

Gar yahi waza hai aur hain yahi haihat nasib

Mirza Haider Ali Hairan

;

gar yahi waza hai aur hain yahi haihat nasib
to hamein ho chuki bas us se mulaqat nasib

hum lab-e-gor hue KHun-ba-jigar is gham se
karni us ghuncha-dahan se na hui baat nasib

subh har rose isi gham mein hamein hoti hai sham
aah jagenge mere kaun si ab raat nasib

kuchh hamein shikwa nahin jaur se tere hargiz
hum hamesha se hain ai jaan kuchh aafat nasib

masjidon mein phire nit subha phiraate 'hairan'
shaiKH ji par na hui tum ko karamat nasib