اردو हिंदी
Gar ishq hai to dekhne piw ko shitab aa | Shaahi Shayari
gar ishq hai to dekhne piw ko shitab aa

Ghazal

Gar ishq hai to dekhne piw ko shitab aa

Alimullah

;

gar ishq hai to dekhne piw ko shitab aa
la-shak ho haq ki rah mein chala be-hijab aa

us husn-e-be-nazir ke darsan ko dekhne
sab KHanuman sun ho ke apas ke KHarab aa

dariya mein dil ke ishq sun hone ke tain muhit
KHali ho sab KHudi sun nikal jun habab aa

kya dekhta hai surat-e-KHurshid aur chandr
har ek nazar mein dekh hazar aaftab aa

har-dam 'alim' dil ke nazar ko diya hai tab
apne karam sun qibla-e-wala janab aa