اردو हिंदी
Gar hamein tera sahaara hai, KHuda jaanta hai | Shaahi Shayari
gar hamein tera sahaara hai, KHuda jaanta hai

Ghazal

Gar hamein tera sahaara hai, KHuda jaanta hai

Jeem Jazil

;

gar hamein tera sahaara hai, KHuda jaanta hai
phir to har zulm gawara hai, KHuda jaanta hai

meri har rah guzarti hai tere kuche se
tu mera qutbi sitara hai, KHuda jaanta hai

zindagi tujh ko tere dard ke har ek pal ko
hum ne jis tarah guzara hai KHuda jaanta hai

baiTha rahta hai jahan hijr ka tanha aansu
meri aankhon ka kinara hai, KHuda jaanta hai

dil dhaDakta hai to uThti hain badan mein Tisen
ishq ne bandh ke mara hai, KHuda jaanta hai