gar dil se bhulai meri chahat nahin jati
kyun phir teri inkar ki aadat nahin jati
phir oDh li hai hum ne tere nam ki chadar
phir dil se, wahi ghar ki zarurat nahin jati
kyun raat ke parde mein chhupa din nahin aata?
kyun aankh se lipTi ye masafat nahin jati
kyun waqt ruka hai meri aankhon mein abhi tak?
kyun lams ki tere wo tamazat nahin jati
kyun wasl ki barish nahin hoti mere aangan?
kyun hijr ki 'nahid' ye hiddat nahin jati

Ghazal
Gar dil se bhulai meri chahat nahin jati
Naheed Virk