ganwa ke dil sa guhar dard-e-sar KHarid liya
bahut garan tha ye sauda magar KHarid liya
amin-e-ishq ne dil-e-be-KHatar KHarid liya
ye aaina ma-e-aina-gar KHarid liya
ghazab tha ishq ka sauda ki ahl-e-hosh ne bhi
jo kuchh nasib tha sab bech kar KHarid liya
bhala ho gham ki tunuk-zarfi-e-tabiat ka
agarche baat ganwa di asar KHarid liya
rah-e-raza mein hai KHuni-kafan se shan-e-shahid
to jaan bech ke raKHt-e-safar KHarid liya
jo dil kahe na kahun wo jo tu kahe wo kahun
to kya zamir bhi ai hila-gar KHarid liya
talash-e-aish mein ai 'arzu' hai ranj hi ranj
sitam-nasib ye kya dard-e-sar KHarid liya
Ghazal
Ganwa ke dil sa guhar dard-e-sar KHarid liya
Arzoo Lakhnavi