ghamza paikan hua jata hai
dil ka arman hua jata hai
dekh kar uljhi hui zulf un ki
dil pareshan hua jata hai
teri wahshat ki badaulat ai dil
ghar bayaban hua jata hai
saz-o-saman ka na hona hi mujhe
saz-o-saman hua jata hai
mushkil aasan hui jati hai
kyun pareshan hua jata hai
dil se jate hain mere sabr-o-qarar
ghar ye viran hua jata hai
dil ki rag rag mein sama kar 'bedam'
dard to jaan hua jata hai
Ghazal
Ghamza paikan hua jata hai
Bedam Shah Warsi