ghamon se yun wo farar iKHtiyar karta tha
faza mein uDte parinde shumar karta tha
bayan karta tha dariya ke par ke qisse
ye aur baat wo dariya na par karta tha
bichhaD ke ek hi basti mein donon zinda hain
main us se ishq to wo mujh se pyar karta tha
yunhi tha shahr ki shaKHsiyyaton ko ranj us se
ki wo ziden bhi baDi pur-waqar karta tha
kal apni jaan ko din mein bacha nahin paya
wo aadmi ki jo aahaT pe war karta tha
wo jis ke sehn mein koi gulab khil na saka
tamam shahr ke bachchon se pyar karta tha
sadaqaten thin meri bandagi mein jab 'azhar'
hifazaten meri parwardigar karta tha
Ghazal
Ghamon se yun wo farar iKHtiyar karta tha
Azhar Inayati