اردو हिंदी
Ghamon ne is tarah ghera kabhi nahin hoga | Shaahi Shayari
ghamon ne is tarah ghera kabhi nahin hoga

Ghazal

Ghamon ne is tarah ghera kabhi nahin hoga

Mushtaq Naqvi

;

ghamon ne is tarah ghera kabhi nahin hoga
ye lag raha tha sawera kabhi nahin hoga

unhen ka zikr hai din raat un ki baaten hain
tumhaara dil hai ye mera kabhi nahin hoga

tamam daulat-e-kaun-o-makan mile to kya
to jis ka ho gaya, tera kabhi nahin hoga

hamari san lo hamein dekh lo ki phir shayad
idhar faqir ka phera kabhi nahin hoga

diya hai apna lahu is qadar charaghon ko
hamare baad andhera kabhi nahin hoga