gham-zada hain mubtala-e-dard hain nashad hain
hum kisi afsana-e-ghamnak ke afrad hain
gardish-e-aflak ke hathon bahut barbaad hain
hum lab-e-ayyam par ek dukh bhari fariyaad hain
hafize par ishraton ke naqsh baqi hain abhi
tu ne jo sadme sahe ai dil tujhe bhi yaad hain
raat bhar kahte hain tare dil se rudad-e-shabab
in ko meri wo shabab-afroz raaten yaad hain
aKHtar'-e-na-shad ki parchhain se bachte rahen
jo zamane mein shagufta-KHatir o dil-e-shad hain
Ghazal
Gham-zada hain mubtala-e-dard hain nashad hain
Akhtar Ansari