gham se bahal rahe hain aap aap bahut ajib hain
dard mein Dhal rahe hain aap aap bahut ajib hain
saya-e-wasl kab se hai aap ka muntazir magar
hijr mein jal rahe hain aap aap bahut ajib hain
apne KHilaf faisla KHud hi likha hai aap ne
hath bhi mal rahe hain aap aap bahut ajib hain
waqt ne aarzu ki lau der hui bujha bhi di
ab bhi pighal rahe hain aap aap bahut ajib hain
daera-war hi to hain ishq ke raste tamam
rah badal rahe hain aap aap bahut ajib hain
apni talash ka safar KHatm bhi kijiye kabhi
KHwab mein chal rahe hain aap aap bahut ajib hain
Ghazal
Gham se bahal rahe hain aap aap bahut ajib hain
Pirzada Qasim