gham nahin naz-e-husn hai husn ke naz uThae ja
ai dil-e-mubtala-e-gham gham mein bhi muskurae ja
husn hai ishq-e-afrin husn pe dil luTae ja
ishq ko dard-e-dil bana dard ko dil banae ja
jalwa-ba-jalwa gar nahin parda-ba-parda aae ja
dil mein mere samae ja ruh mein jagmagae ja
shorish-e-kaenat mein gham ko KHushi banae ja
hans mere aansuon mein tu aah mein muskurae ja
taron mein jagmagae ja chand mein muskurae ja
dur se koi naghma-e-ruh-faza sunae ja
zabt ba-qadr-e-zarf hai zarf ba-qadr-e-shauq hai
tu abhi samne na aa shauq abhi baDhae ja
bahama tark-e-rasm-o-rah kuchh to ho iltifat bhi
tu mujhe bhul ja magar yaad mujhe tu aae ja
husn se baDh ke bad-guman ishq hai apne aap se
main abhi mutmain nahin tu mujhe aazmae ja
sirf jabin-e-shauq ho aur kisi ka aastan
sajde bhi darmiyan na hun sajdon ko bhi miTae ja
bazm-e-nashat-e-kaenat mujh pe hai KHanda-zan hanuz
KHalwat-e-gham mein tu abhi aur mujhe rulae ja
ab na wo 'bismil' aur na tu ab na wo dil na aarzu
ab to KHuda ke waste yaad use na aae ja
Ghazal
Gham nahin naz-e-husn hai husn ke naz uThae ja
Bismil Saeedi