اردو हिंदी
Gham mein rota hun tere subh kahin sham kahin | Shaahi Shayari
gham mein rota hun tere subh kahin sham kahin

Ghazal

Gham mein rota hun tere subh kahin sham kahin

Taban Abdul Hai

;

gham mein rota hun tere subh kahin sham kahin
chahne wale ko hota bhi hai aaram kahin

wasl ho wasl ilahi ki mujhe tab nahin
dur hun dur mere hijr ke ayyam kahin

lag rahi hain tere aashiq ki jo aankhen chhat se
tuj ko dekha tha magar un ne lab-e-baam kahin

aashiqon ke bhi laDane ki tujhe kya Dhab hai
chashm-bazi hai kahin bosa o paigham kahin

yamani ki si tarah laKHt-e-jigar par khodun
muj ko malum agar howe tera nam kahin

hijr mein us but-e-kafir ke taDapte hain paDe
ahl-e-zunnar kahin sahib-e-islam kahin

aarzu hai mere 'taban' ko bhi ab ai qatil
ki bar aae tere hathon se mera kaam kahin