اردو हिंदी
Gham ki garmi se dil pighalte rahe | Shaahi Shayari
gham ki garmi se dil pighalte rahe

Ghazal

Gham ki garmi se dil pighalte rahe

Arsh Siddiqui

;

gham ki garmi se dil pighalte rahe
tajrabe aansuon mein Dhalte rahe

ek lamhe ko tum mile the magar
umr bhar dil ko hum masalte rahe

subh ke Dar se aankh lag na saki
raat bhar karwaTen badalte rahe

zahr tha zindagi ke kuze mein
jaante the magar nigalte rahe

dil raha sarKHushi se begana
garche arman bahut nikalte rahe

apna azm-e-safar na tha apna
hukm milta raha to chalte rahe

zindagi sarKHushi junun wahshat
maut ke nam kyun badalte rahe

ho gae jin pe karwan pamal
sab unhi raston pe chalte rahe

dil hi gar bais-e-halakat tha
ruKH hawaon ke kyun badalte rahe

ho gae KHamushi se hum ruKHsat
sare ahbab hath malte rahe

har KHushi 'arsh' wajh-e-dard bani
farsh-e-shabnam pe panw jalte rahe