gham ke baadal phir bhi chhae rah gae
aankh se dariya ke dariya bah gae
KHauf-e-uqba aur is duniya ke baad
wo bhi sah lenge jo ye gham sah gae
kis ne dekha hai jamal-e-ru-e-dost
sab naqabon mein ulajh kar rah gae
muKHtasar thi dastan-e-arz-e-shauq
bujh ke kuchh tare mizha par rah gae
zist hai ek sham afsane ka nam
apni apni dastan sab kah gae
tab kahin ja kar mili sath-e-sukun
Dub kar jab gham mein tah-dar-tah gae
war kar ke zist bhagi aur hum
aastin apni chaDhate rah gae
chand shaitan band kar ke KHush hain yun
jaise bahar sab farishte rah gae
ashk ban pae na gham ke tarjuman
ye numaish hi mein apni rah gae
zindagi se laD na paya josh-e-dil
par bahut tole magar rah rah gae
ashk the jab tak farozan gham na tha
ab andhere mein akele rah gae
jeben sab yaron ne bhar lin bazm mein
ek 'mulla' the jo yunhi rah gae
Ghazal
Gham ke baadal phir bhi chhae rah gae
Anand Narayan Mulla